naghma-e-zanjir hai aur shahr-e-yaran in dinon

naghma-e-zanjir hai aur shahr-e-yaran in dinon
hai bahut ahl-e-junun shor-e-bahaaran in dinon

us wafa-dushman se paiman-e-wafa hai ustuwar
zer-e-sang-e-sakht hai phir dast-e-yaran in dinon

mohtasib bhi halqa-e-rindan ka hai ummid-war
kam na ho jae waqar-e-mai-gusaran in dinon

tezi-e-tegh-e-ada ki shohraten hain dur dur
hai bahut aabaad ku-e-dil-figaran in dinon

dosto pairahan-e-jaan khun-e-dil se surkh-tar
badh gaya hai iltifat-e-gul-ezaran in dinon

ahl-e-dil par barish-e-lutf-e-nigah-e-dil-nawaz
mehrban hai ishq par chashm-e-nigaran in dinon

hai gada-e-mai-kada ke sar pe taj-e-khusrawi
kuza-gar ki gil hai khak-e-shahr-e-yaran in dinon

kya ajab ishrat-kadon par bijliyan girne lagin
hai bahut sarkash nigah-e-sogwaran in dinon


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close