naghma jo mahmil ke bahar hai wahi mahmil mein hai

naghma jo mahmil ke bahar hai wahi mahmil mein hai
haal mein zahir hai poshida jo mustaqbil mein hai

jis ka partaw gesu-e-shab mein mah-e-kaamil mein hai
ek jhalak us husn-e-poshida ki tere dil mein hai

jalwa-e-yazdan bhi raqs-e-ahraman bhi dil mein hai
aadmi bhi kis qadar uljhan mein hai mushkil mein hai

kah raha tha ek diwana ye hangam-e-safar
rah-nawardi mein jo rahat hai wahi manzil mein hai

hausla-mandan ghawwasan-e-dariya ke liye
zindagi maujon mein hai jo wo kahan sahil mein hai

apni fitrat par chaman mein khar-o-gul to hain magar
ek tazad-e-mustaqil is musht-e-ab-o-gil mein hai

jam hai mina hai sahba-e-junun-afza bhi hai
saqiya aa ja ki ek teri kami mahfil mein hai

be-rah-o-be-rahnuma garm-e-safar hai qafila
faeda kya is tarah ki sai-e-la-hasil mein hai

paikar-e-shauq-o-talab ban kar jo hai garm-e-safar
har qadam us rah-rau ka sarhad-e-manzil mein hai

marja-e-ilham ban sakta hai koshish ho agar
ek maqam aisa bhi pinhan aadmi ke dil mein hai

aaftab-e-dil se garma aur chamka de use
zarra-e-haq jo nihan gard-e-rah-e-baatil mein hai

dil to hai na-ashna-e-baada-ha-e-zindagi
jam-o-mina ka magar sauda sar-e-ghafil mein hai

dhundte rahiye magar 'amjad' ko pa sakte nahin
wo to ab ek nur ke dariya-e-be-sahil mein he


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close