naghme hawa ne chhede fitrat ki bansuri mein paida huin zabanen jangal ki khamushi mein us waqt ki udasi hai dekhne ke qabil jab koi ro raha ho afsurda chandni mein kuchh to latif hotin ghadiyan musibaton ki tum ek din to milte do din ki zindagi mein hangama-e-tabassum hai meri har khamoshi tum muskura rahe ho dil ki shaguftagi mein khali pade hue hain phulon ke sab sahife raaz-e-chaman nihan hai kaliyon ki khamushi mein