naghme tadap rahe hain dil-e-be-qarar mein aankhen baras rahi hain gham-e-intizar mein fitrat udas si hai ghataen hain sogwar ek gham-nasib husn hai abr-e-bahaar mein hai zarra zarra shauq-e-samaat se be-qarar tum gunguna rahe ho kisi aabshaar mein sawan ki rut bahaar ka mausam andheri raat rim-jhim ke git gunj rahe hain phuwar mein sapnon mein ho gaya hai sawera kahin mujhe baitha hua hun jaise kisi lala-zar mein aisa laga ki sath hi gate hain aabshaar kya mohni si lai hai tumhaare sitar mein kyun aaj sar jhukae hue ro rahe ho tum bikhre hue hain baal gham-o-intishaar mein