ab yahan koi nahin pahle yahan tha koi jis ke dam se ye makan aur makan tha koi daera daera tha jis se wo markaz na raha jab wo tha nuqta-e-be-qibla kahan tha koi nang-e-maidan hai jo ab zinat-e-maidan tha kabhi ab jahan gum hun wahan pahle rawan tha koi meri shakhen mere patte mujhe sab chhod gae jaise main bais-e-yalghaar-e-khizan tha koi yahi sae the magar tez thi jab shauq ki lau fitna-e-dil tha koi aafat-e-jaan tha koi hun wo lamha ki na manoge rahunga jab tak na rahunga to khayal aaega han tha koi raaz mera na khulega ye khulega mere baad kuchh na tha jis pe muqarrar nigaran tha koi aasmanon se tu kya tod ke laega 'muhib' qaht kya chand ke tukdon ka yahan tha koi