nahin aasman teri chaal mein nahin aaunga main palat ke ab kisi haal mein nahin aaunga meri ibtida meri intiha kahin aur hai main shumara-e-mah-o-sal mein nahin aaunga abhi ek azab se hai safar ek azab tak abhi rang-e-sham-e-zawal mein nahin aaunga wahi haalaten wahi suraten hain nigah mein kisi aur surat-e-haal mein nahin aaunga mujhe qaid karne ki zahmaten na uthaiye nahin aaunga kisi jal mein nahin aaunga main khayal-o-khwab hisar se bhi nikal chuka so kisi ke khwab-o-khayal mein nahin aaunga na ho bad-guman meri dad-khwahi-e-hijr se meri jaan main shauq-e-visal mein nahin aaunga