hum dil fida karen ki tasadduq-e-jigar karen jo bhi kahen huzur wahi umr bhar karen kuchh ab to aap chaara-e-dard-e-jigar karen mujh par nahin to apne karam par nazar karen kuchh baat hai labon pe jo mohr-e-sukut hai karne ko nale sham se hum ta-sahar karen tul-e-shab-e-firaq se ghabra gaya hai ji ai kash aap qissa mera mukhtasar karen le chupke chupke kaam kiye ja gham-e-firaq duniya ko ghar ki baat se kya ba-khabar karen 'nadir' yahi hai asal mein meraj-e-bandagi yaad un ki un ke ishq se bhi pesh-tar karen