nahin aisa ki kabhi shauq par-afshan bhi nahin dil ko tha naz ki viran hai so viran bhi nahin kyon hain tufan ki zad mein haram-o-dair-o-kunisht in mazaron pe to muddat se charaghan bhi nahin kis ne is anjuman-e-shauq ko taraj kiya dil guzargah-e-khayalat-e-pareshan bhi nahin shauq-e-afsurda ka mujh se na gila kar ki mujhe eatibar-e-karam-e-jumbish-e-mizhgan bhi nahin jalwa-abaad-e-tasawwur ba-adakari-e-shauq ab to marhun-e-fusun-sazi-e-jaanan bhi nahin kaenat apni hamein de ke bhi farigh nahin aap hum to kuchh muddai-e-wusat-e-daman bhi nahin kabhi is samt ko bhi bahr-e-tamasha niklo dil ka hairat-kada aisa koi viran bhi nahin hairat-abaad tamasha mein na zulmat hai na nur koi pinhan bhi nahin hai koi uryan bhi nahin kab se maikhane mein 'rizwi' nahin aaya hai nazar is khizan-dost ko kuchh sharm-e-bahaaran bhi nahin