pahunch nahin to mohabbat ka hausla kya hai khuda ke pujne wale bata khuda kya hai talab ki zillat-o-bechaargi maaz-allah meri khudi ka tashannuj hai ye dua kya hai hum uth khade hue duniya se jhad kar daman ki in bujhe hue zarraat mein dhara kya hai rawa hai kya teri duniya mein narawa kya hai mujhe bata ki ye hangama ai khuda kya hai ye ittihad-e-tabiat ye ikhtilaf-e-mizaj ye turfa-kari-e-raftar-e-irtiqa kya hai khuda-faroshi-e-zuhhad-e-sajda-kosh hai kya khuda-faramushi-e-rind-e-kaj-ada kya hai kharash-e-arzu-e-qalb-e-baadshah hai kya sukun-e-khatir-e-asuda-e-gada kya hai hayat jis ko kahen ek junun-e-garm-rawi ye kyon hai is ki gharaz is ka muddaa kya hai kahan hai awwal-e-awwal kahan akhir-e-akhir numud-e-be-sar-o-pa ka ye silsila kya hai dimagh mein ye tajassus kahan se aaya hai ye kyon hai kyon koi batlae aur ye kya kya hai