nahin akbar yahan mujh sher ki khwahan bayani se zi-bas maqdur hai maqdur par matam zabani se gah-e-hasti kahin zahir pata hum sar se lawe hai dhuan uthta hai phir pas az fana soz-e-nihani se tahi dil jaan-e-ma guzri to kya ghabra ke puchho ho abas dil na-tawan guzra sarapa na-tawani se hawa ki shauq-e-mai ud jawe hai kham-e-khayali ko ubur-e-abr tulani ki barse mai-fishani se unhon ke wada-e-farda ko gar imroz mil jata diwana mar nahin jata jo mil jata diwani se khamoshi bhar rahi hai dard apna ginte jate hain dawa bezar rahti hai khudaya sargirani se munafiq ab kahan dushman ki samt-e-rah se ja lage ewaz dushman bane hai yan munafiq bad-gumani se sukhan-war hain bahut achchhe kitabon se churawe jo 'aban' ko dekh likhta hai tabiat ki rawani se