nahin aur kuchh mere dil ki kahani ki dekhi nahin umr bhar shadmani kabhi hum ne rah-e-wafa ko na chhoda hamesha suni husn ki lan-tarani abas ye shikayat ki nakaamiyan hain nahin qismat-e-ishq mein kaamrani tumhaari talab mein hamesha rahi hai mayassar hamein gardish-e-asmani tumhaare iradon ko hum kya samajhte tumhaari nigahon ne ki tarjumani tumhaara tabassum are tauba tauba hazaron bahaaron ki hai gul-fishani luta dil kahan aur kis waqt 'jauhar' nigahen to karti rahin pasbani