na puchho dil ko le kar muddaa kya taqaza-e-nigah-e-naz tha kya nahin fitna-badaman har ada kya nigah-e-naz hi hai fitna-e-za kya kisi ke wasl se behtar hai furqat agar hasrat nahin to phir raha kya ayan hai meri bad-hali se sab kuchh bataun aur qismat ka likha kya tumhaare sath lutf-e-zindagi tha jiya koi agar yun to jiya kya bahut machle the dil lene ki khatir na jaane mera dil le kar kiya kya hue 'jauhar' sabhi apne parae sukun-e-jaan-o-dil kya dilruba kya