nahin chhupta tere itab ka rang

nahin chhupta tere itab ka rang
ki badalne laga naqab ka rang

phir gaya aankh mein sharab ka rang
zalim uf re tere shabab ka rang

ab to lale hain jaan-e-muztar ke
aur hi kuchh hai iztirab ka rang

tere aate hi ho gai pani
ud gaya mohtasib sharab ka rang

rang laega dida-e-pur-ab
dekhna dida-e-pur-ab ka rang

dagh-e-daman ne bhi kiya paida
hashr ke roz aaftab ka rang

shaikh jaana tujhe mohabbat mein
dekhta ja meri sharab ka rang

sadqe mein apni parsai ke
ki budhape mein hai shabab ka rang

khun se jaise wasta hi nahin
saf hai khanjar-e-pur-ab ka rang

rish-e-waiz safed hai kitni
nahin chadhta kabhi khizab ka rang

rang ka us ke puchhna kya hai
jis ka saya bhi de gulab ka rang

sach hai ai hazrat-'riyaz' ye baat
ki juda sab se hai janab ka rang


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close