waqia koi na jannat mein hua mere baad aasmanon pe akela hai khuda mere baad phir dikhata hai mujhe jannat-e-firdaus ke khwab kya farishton mein tera ji na laga mere baad kuchh nahin hai teri duniya mein hayulon ke siwa mujh se pahle bhi wahi tha jo hua mere baad khak-e-sahra-e-junun narm hai resham ki tarah aabla hai na koi aabla-pa mere baad mere anjam pe hansne ki tamanna na karo kam hi badlegi gulistan ki hawa mere baad khatm afsana hua baat samajh mein aai sari duniya ne mujhe jaan liya mere baad yar hote to mujhe munh pe bura kah dete bazm mein mera gila sab ne kiya mere baad hun par-e-kah-e-shab-o-roz magar sochta hun kis ke ghar jaega sailab-e-bala mere baad is zamin mein wo koi aur ghazal bhi kahta lekin afsos ki 'ghaalib' na hua mere baad