nahin dekhta din jise chashm-e-shab dekhti hai andhera bhi ek dusre rang ki raushni hai purane andheron ko aankhon mein mahfuz rakhna nai raushni kuchh yaqini nahin raushni hai chali jae bazar mein raushni jab achanak chamakne lage jo bas ek dam wahi aadmi hai chimat jae jo jism se maut se lamha pahle jise rokna ghair-mumkin ho wo zindagi hai usi ki badaulat to ghar apna ghar lag raha hai jo chizon ki bhar-mar mein ek zara si kami hai phate-haal aisa yahan koi aur ab kahan hai zara ghaur se dekhna farhat-ehsas hi hai