rang par kal tha abhi lala-e-gulshan kaisa

rang par kal tha abhi lala-e-gulshan kaisa
be-charagh aaj hai har ek nasheman kaisa

dil-e-pur-dagh jo hota hai lahad mein betab
jhilmilata hai charagh-e-sar-e-madfan kaisa

main kahin ka na raha baad-e-khizan ke chalte
ud gaya mere muqaddar se nasheman kaisa

ab khuda jaane bahaar aati hai us mein ki nahin
mere dam se kabhi aabaad tha gulshan kaisa

chhup ke raaton ko kahin aap na aae na gae
be-sabab nam hua aap ka raushan kaisa

mal hathon ne liya honthon ne afshan chun li
aa ke qabu mein luta aap ka joban kaisa

hum ne dekhe hain maqamat-e-tajalli un ke
tur kahte hain kise wadi-e-aiman kaisa

hai abhi mere budhape mein jawani kaisi
hai abhi un ki jawani mein ladakpan kaisa

zabh ke waqt bahut saf raha tha ye to
de utha khun dam-e-hashr ye daman kaisa

to dhari jaegi us ghar se jo nikli koi baat
nigah-e-shauq ye diwar mein rauzan kaisa

meri saj-dhaj to koi ishq-e-butan mein dekhe
sath qashqe ke hai zunnar-e-barahman kaisa

aae hain dagh naya dene wo mujh ko pas-e-marg
aaj phaila hai ujala sar-e-madfan kaisa

misi-malida lab-e-yar ki sun kar tarif
munh phulae hue hai ghuncha-e-sausan kaisa

baghban kaam hamein kya hai wo ujde ki rahe
jab hamein bagh se nikle to nasheman kaisa

parsa ban ke 'riyaz' aae hain maikhane mein
aap baithe hain bachae hue daman kaisa


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close