nahin dete kabhi duniya ko dil ahl-e-nazar apna

nahin dete kabhi duniya ko dil ahl-e-nazar apna
kabhi murghab tar karta nahin pani se par apna

fana ki rau mein buniyaaden na thahrin qasr-e-hasti ki
hua is mauj-e-tufan-khez se barbaad ghar apna

jahan mein ruh ko tan se dikhawe ki mohabbat thi
na tha wo ham-safar samjhe the jis ko ham-safar hum apna

bata dun kya tujhe zahid jo dekha hai wo dekha hai
teri aankhon mein kyunkar dal dun zauq-e-nazar apna

usi bansi ke naghmon ki abhi mushtaq hai jamuna
ki maujen aaj tak sahil se takraati hain sar apna

khayal-e-yar ne marqad pe kar di nur ki barish
muqaddar ka sitara ban gaya dagh-e-jigar apna

mere jam-e-subuhi mein asar 'kaifi' dikhata hai
kabhi rang-e-shafaq apna kabhi nur-e-sahar apna


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close