khaksari se yahan tak martaba uncha hua dida-e-gardun ki putli khak aag ka putla hua hun tilism-e-rang-o-bu ke pher mein bhula hua aadmi banda bashar hai kya karun dhoka hua ek piyala tha kharabaat-e-azal ka aasman wo bhi apni gardish-e-qismat se hai ulta hua ye khamoshi hai guzargah-e-jahan mein al-aman koi kuchh kahta nahin aata hua jata hua 'alam-e-nairang ki ranginiyan hain dil-fareb aur bhi wo rang laya rang jo phika hua mauj-e-rahmat hauz-e-kausar ke kinare le gai mai-kashon ka gulshan-e-firdaus mein mela hua aatish-e-khamosh ke manind tha pahlu mein dil un ke daman ki hawa lagte hi angara hua mast aankhen dekh kar 'kaifi' ki mat jati rahi kaun maikhane mein us se badh ke matwala hua