nahin do qubba-e-pistan shoKH-o-shang sine par

nahin do qubba-e-pistan shokh-o-shang sine par
nazar aate hain mina-e-mai-e-gul-rang sine par

nahin rakhe hain tu ne har tarah ke phul angiya mein
jawahar ye nazar aate hain ranga-rang sine par

nahin lauh-e-mazar-e-raftgan-e-shahr-e-khamoshan
gham-e-furqat ka rakh kar so rahe hain sang sine par

numud jism ka us sim-tan ko hai khayal itna
ki khush rahta hai khayyaton se kapde tang sine par

khuda ke fazl se shauq-e-lughat hai 'mehr' ko itna
dhare rahte hain pahron nuskha-e-farsang sine par


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close