nahin haal-e-dehli sunane ke qabil

nahin haal-e-dehli sunane ke qabil
ye qissa hai aansu bahane ke qabil

ujade hain wo qasr ek ek is ke
jo the dekhne aur dikhane ke qabil

na aai khush-abaadi un ki falak ko
na the warna wo to mitane ke qabil

na paya koi aur un ke siwa kya
falak kya wahi the satane ke qabil

kiya aah barbaad chun chun ke un ko
na the jo ki barbaad jaane ke qabil

milaya jinhen khak mein tu ne wo to
na the khak mein yun milane ke qabil

nahin ghus lagane ko chidiya talak wo
jahan jama the ek zamane ke qabil

sitam sa sitam tu ne dhaya hai zalim
nahin baat ye munh pe lane ke qabil

unhen khak-e-zillat pe patka hai the wo
jo aankhon ke upar bithane ke qabil

kahen hain sab ahbab dehli ko chaliye
rahi hai kahan ab wo jaane ke qabil

jise dekh kahte the sayyah-e-alam
ye hai ja-e-aram pane ke qabil

use dekh bulbul bhi kahti hai ye ja
nahin aashiyan ab banane ke qabil

suna jis ne ye haal afsos khaya
ye hai haal afsos khane ke qabil

ilahi basa phir tu apne karam se
use kyunki hai wo basane ke qabil

dikhae hain afsos wo dil falak ne
na the 'aish' jo dil dikhane ke qabil


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close