nala jo bulbul-e-tafsida-jigar ka nikla

nala jo bulbul-e-tafsida-jigar ka nikla
wo saba zulm-rasida gul-e-tar ka nikla

subh dam ghar se jo tukda wo qamar ka nikla
kanpta sharq se khurshid-e-sahar ka nikla

bhula kahte nahin us ko ye masal hai mashhur
sham ko aae agar koi sahar ka nikla

jaan chori gai nuqsan hua dil ke sabab
dosh dije kise ye bhedi to ghar ka nikla

ek ko ek na aata tha nazar hosh the gham
bazm mein shab ko jo zikr us ki kamar ka nikla

abr-e-tar ho gaya bas sunte hi pani pani
kuchh fasana jo mere dida-e-tar ka nikla

sath aghyaron ko le le ke phire kaun bhala
ye sira pahle kidhar se kaho shar ka nikla

tegh-e-qatil ki zaban chante hai san aaj talak
na maza dil se mere khun-e-jigar ka nikla

phir raha dar tujhe kis baat ka ai 'aish' bata
dil se dhadka jo tere naf-o-zarar ka nikla


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close