nahin hai bahr-o-bar mein aisa mere yar koi ki jis khitte ka milta ho na dawedar koi yunhi buniyaad ka darja nahin milta kisi ko khadi ki jaegi mujh par abhi diwar koi pata chalne nahin deta kabhi fariyaadiyon ko laga kar baith jata hai kahin darbar koi nigahen us ke chehre se nahin hattin jo dekhun ki hai us ke gale mein besh-qimat haar koi bachata phirta hun dariya mein apni kashti-e-jaan kabhi is par hai koi bhi us par koi usi ka qahr barpa hai usi ka faiz jari har ek majbur ka hai malik-o-mukhtar koi kahlwaya hai us ne phand kar diwar aa jaana agar darwaze par baitha ho pahre-dar koi