thoDi si miTTi ki aur do bund pani ki kitab

thodi si mitti ki aur do bund pani ki kitab
ho agar bas mein to likhen zindagani ki kitab

ratjage tanhaiyan pane ka kho dene ka zikr
lijiye padh lijiye meri jawani ki kitab

kah rahi hai shahar ki barbaadiyon ki dastan
adh-jale kuchh kaghazon mein ek kahani ki kitab

zindagi bhar kufr ke fatwon ki zad mein tha wo shakhs
mo'atabar thahri hai ab jis aan-jahani ki kitab

waqt ke zulmat-kade mein hai bhala kis ko dawam
ab kahan se laun main teri nishani ki kitab

dekhiye jis ko liye phirta hai 'anwar' dosh par
apni nakaami kisi ki kaamrani ki kitab


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close