nahin hai yun ke dama-dam hawa ne raqs kiya shadid habs tha kam kam hawa ne raqs kiya bas ek main hi wahan par tawaf mein to na tha darun-e-shahr-e-mukarram hawa ne raqs kiya charagh qatl hua to khushi se maqtal mein laga ke nara-e-raqsam hawa ne raqs kiya tamam din ki tamazat ke baad raat gae giri jo phul pe shabnam hawa ne raqs kiya samundaron ke safar se palat ke aai to zara zara si hui nam hawa ne raqs kiya