safina gharq hua mera yun khamoshi se ki sath-e-ab pe koi habab tak na utha samajh na ijz ise tere parda-dar the hum hamara hath jo tere naqab tak na utha jhinjhodte rahe ghabra ke wo mujhe lekin main apni nind se yaum-e-hisab tak na utha jatan to khub kiye us ne talne ke magar main us ki bazm se us ke jawab tak na utha