nahin jo teri KHushi lab pe kyun hansi aae

nahin jo teri khushi lab pe kyun hansi aae
yahi bahut hai ki aankhon mein kuchh nami aae

andheri raat mein kasa-ba-dast baitha hun
nahin ye aas ki aankhon mein raushni aae

mile wo hum se magar jaise ghair milte hain
wo aae dil mein magar jaise ajnabi aae

khud apne haal pe roti rahi hai ye duniya
hamare haal pe duniya ko kyun hansi aae

na jaane kitne zamanon se hum bahakte hain
faqih bahke to kuchh lutf-e-mai-kashi aae

salib-o-dar ke qisse bahut purane hain
salib-o-dar to hamrah-e-zindagi aae

hari na ho na sahi shakh-e-nakhl gham ki 'arib'
hamare girya-e-paiham mein kyun kami aae


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close