naz-parwarda-e-jahan tum ho

naz-parwarda-e-jahan tum ho
dard-o-gham ho jahan jahan tum ho

ye zamin bhi agar nahin meri
hae kyun zer-e-asman tum ho

main ne ki thi shikayat-e-darun
be-sabab mujh se bad-guman tum ho

main zamane se khud samajh leta
waqt ke mere darmiyan tum ho

phutti hai wahin se dard ki lai
parda-e-saz mein jahan tum ho

tum ko pa kar bhi sochta hun yahi
kya faqat ranj-e-raegan tum ho


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close