nahin kahte kisi se haal-e-dil khamosh rahte hain ki apni dastan mein tere afsane bhi aate hain wo jin par fakhr hai farzangi ko nukta-dani ko teri mahfil mein aise chand diwane bhi aate hain adab karta hun masjid ka wahan har roz jata hun ki us ki rah mein do-chaar maikhane bhi aate hain hamare mai-kade mein mai bhi hai iman ki baaten bhi yahin to ek sahab waz farmane bhi aate hain na ghabra chahne walon se ye to ain-e-fitrat hai ki shama nur-afshan ho to parwane bhi aate hain