nahin ki dasht ko hijrat ziyaada mushkil hai gharon mein is se bhi wahshat ziyaada mushkil hai natija akhz kiya pai-ba-pai shikaston se ki dushmani se mohabbat ziyaada mushkil hai agarche takht-nashini bhi koi sahl nahin magar dilon pe hukumat ziyaada mushkil hai hayat katne walon ko ye nahin malum ki is se agli masafat ziyaada mushkil hai 'aqil' dale the hathiyar sab se aakhir mein hamare sath riayat ziyaada mushkil hai