nahin ki ishq nahin hai gul o saman se mujhe dil-e-fasurda liye jata hai chaman se mujhe misal-e-shama hai rona bhi aur jalna bhi yahi to faeda hai teri anjuman se mujhe badhi hai yas se kuchh aisi wahshat-e-khatir nikal kar hi rahegi ye ab watan se mujhe aziz agar nahin rakhta na rakh zalil hi rakh magar nikal na tu apni anjuman se mujhe watan samajhne laga hun main dasht-e-ghurbat ko zamana ho gaya nikle hue watan se mujhe mere bhi dagh-e-jigar misl-e-lala hain rangin hai chashmak us gul-e-khubi ke bankpan se mujhe chhupa na gosha-nashini se raaz-e-dil 'wahshat' ki jaanta hai zamana mere sukhan se mujhe