nahin mumkin lab-e-ashiq se harf-e-muddaa nikle jise tum ne kiya khamosh us se kya sada nikle qayamat ek bapa hai sina-e-majruh-e-ulfat mein na tir-e-dil-nashin nikle na jaan-e-mubtela nikle tumhaare khugar-e-bedad ko kya lutf ki hajat wafa aisi na karna tum jo aakhir ko jafa nikle guman tha kaam-e-dil aghyar tum se pate hain lekin hamari tarah wo bhi kushta-e-tegh-e-jafa nikle zabardasti ghazal kahne pe tum aamada ho 'wahshat' tabiat jab na ho hazir to phir mazmun kya nikle