nahin ki nama-baron ko talash karte hain hum apne be-khabron ko talash karte hain mohabbaton ka bhi mausam hai jab guzar jae sab apne apne gharon ko talash karte hain suna hai kal jinhen dastar-e-iftikhar mili wo aaj apne saron ko talash karte hain ye ishq kya hai ki izhaar-e-arzu ke liye harif nauhagaron ko talash karte hain ye hum jo dhundte phirte hain qatl-gahon ko dar-asl chaaragaron ko talash karte hain riha hue pa ajab haal hai asiron ka ki ab wo apne paron ko talash karte hain 'faraaz' dad ke qabil hai justuju un ki jo hum se dar-badaron ko talash karte hain