unhin logon ki badaulat ye hasin achchhe hain chahne wale in achchhon se kahin achchhe hain kucha-e-yar se yarab na uthana hum ko is bure haal mein bhi hum to yahin achchhe hain na koi dagh na dhabba na hararat na tapish chand-suraj se bhi ye mah-jabin achchhe hain koi achchha nazar aa jae to ek baat bhi hai yun to parde mein sabhi parda-nashin achchhe hain tere ghar aaen to iman ko kis par chhoden hum to kabe hi mein ai dushman-e-din achchhe hain hain maze husn-o-mohabbat ke inhin ko hasil aasman walon se ye ahl-e-zamin achchhe hain ek hum hain ki jahan jaen bure kahlaen ek wo wo hain ki jahan jaen wahin achchhe hain kucha-e-yar se mahshar mein bulata hai khuda kah do 'muztar' ki na aaenge yahin achchhe hain