nahin ki pand-o-nasihat ka qaht pad gaya hai hamari baat mein barakat ka qaht pad gaya hai to phir ye radd-e-munajat ki nahusat kyun kabhi suna ki ibaadat ka qaht pad gaya hai? malal ye hai ki is par koi malul nahin hamare shahr mein hairat ka qaht pad gaya hai sukhan ka khokhla hona samajh se bahar tha khula ki harf ki hurmat ka qaht pad gaya hai kahin kahin nazar aae to aae misra-e-tar nahin to sher mein lazzat ka qaht pad gaya hai nasib dil ko bhala kab rahi farawani aur ab to waise bhi muddat ka qaht pad gaya hai magar ab aisi bhi koi andher-nagri nahin ye thik hai ki mohabbat ka qaht pad gaya hai nahin main sirf ba-zahir nahin hua viran darun-e-zat bhi shiddat ka qaht pad gaya hai kahan gain mere ganw ki raunaqen 'jawwad' to kya yahan bhi riwayat ka qaht pad gaya hai