puchhte hain tujh ko saffaki kahan rah kar mili ye karamat bhediyon ke darmiyan rah kar mili hadson ki zad mein rahte hain zamin-o-asman kaun si achchhi khabar mujh ko yahan rah kar mili har-nafas mujh ko aziyyat ka safar karna pada zindagi mujh se hamesha bad-guman rah kar mili ek tilawat ne meri sanson ko bakhsha hai dawam zindagi mujh ko sar-e-nok-e-sinan rah kar mili yani tere sab sitam mujh par karam sabit hue yani teri har bala hi mehrban rah kar mili zahr ek miqdar mein us ne diya hai is liye taqwiyat mujh ko hamesha nim-jaan rah kar mili main usi ka markazi kirdar hun kya ilm tha wo kahani jo darun-e-dastan rah kar mili jo bhi kahte ho utar jata hai mere dil mein 'zeb' aisi laffazi batao to kahan rah kar mali