nahin kuchh abr hi shagird meri ashk-bari ka

nahin kuchh abr hi shagird meri ashk-bari ka
sabaq leti hai mujh se barq bhi aa be-qarari ka

chaman mein aisi hi naghma-sarai ki ki bulbul ko
sarir-ara-e-gulshan ne diya khilat hazari ka

sahab-e-surkh mein is rang se chamki nahin bijli
jo hai jhumka tere daman-e-rangin par kanari ka

tuk ai but apne mukhde se utha de gosha-e-burqa
ki in masjid-nashinon ko hai dawa din-dari ka

dikhaun gar tere kuche mein ashk apne ki gul-rezi
tidaq jawe kaleja ashk se abr-e-bahaari ka

karun kya tere bin dekhe main ek dam rah nahin sakta
ki hun majbur main is amr mein be-ikhtyari ka

na ab aaram hai dil ko na khwab aankhon mein aata hai
samar 'bedar' mujh ko ye mila us gul ki yari ka


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close