nahin malum kitni badh gai hai magar sach hai udasi badh gai hai ye hasil hai qarib aane ka apne hamare beach duri badh gai hai tumhaari yaad ka mausam hai badla achanak kitni sardi badh gai hai tumhaare baad sab kuchh thik sa hai faqat thodi si dadhi badh gai hai khamoshi badh gai hai kuchh dinon se yaqin mano ki kafi badh gai hai