socho aisa hua to kya hoga main hi tanha hua to kya hoga pyar kar lun magar mujhe dar hai phir se dhoka hua to kya hoga maraz ye la-ilaj lagta hai main na achchha hua to kya hoga log karte hain pyar jismon se tu bhi un sa hua to kya hoga tut kar jo bikhar gaya socho gar wo shisha hua to kya hoga tum mujhe mana kar to loge par main na mujh sa hua to kya hoga sochta hun main chhod dun duniya par na us ka hua to kya hoga