nahin malum wo apni wafa ko kya samajhte hain

nahin malum wo apni wafa ko kya samajhte hain
tere inkar karne ko bhi jo wada samajhte hain

zamane ko tumhaara aur tumhein apna samajhte hain
agar aisa samajhte hain to kya beja samajhte hain

na puchho hum mohabbat ki khalish ko kya samajhte hain
ye wo neamat hai jis ko hasil-e-duniya samajhte hain

pahunch jaane mein un tak hai to bas ye zindagi hail
hum apni sans ko bhi rah ka kanta samajhte hain

zamin se sar uthate hi nigahen chaar ho jaen
haqiqat mein usi sajde ko hum sajda samajhte hain

sunana tha dil-e-betab ka qissa suna dala
wo sun kar dekhiye kya sochte hain kya samajhte hain

unhin ke waste hain imtihan-e-ishq ki qaiden
jo apni hasti-e-mauhum ka mansha samajhte hain

wafadaron se puchho narkh apni jins-e-ulfat ka
agar sar de ke bhi mil jae to sasta samajhte hain

unhin ke sar raha karta hai mohra na-khudai ka
jo qatre ki haqiqat ko bhi ek dariya samajhte hain

gila be-sud hai ai 'jurm' be-mehri-e-alam ka
bura kuchh log kahte hain to kuchh achchha samajhte hain


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close