nam rakkha hai fusun-gar ne suKHan-saz mera

nam rakkha hai fusun-gar ne sukhan-saz mera
ghonte deti hai gala ab meri aawaz mera

rah gaya raaz kisi tarah agar raaz mera
be-niyazi bhi uthaegi teri naz mera

aaj hai maut bhi wo ishq jo kal tak tha hayat
mukhtalif kitna hai anjam se aaghaz mera

be-piye mast hua pi ke main bahka na kabhi
wo thi saqi ki karamat pa hai eajaz mera

nawak-e-naz se udte hain nishane dil ke
aur parde mein abhi hai qadar-andaz mera

dhadkanen ab bhi hain waisi hi shikasta dil ki
be-sada ho na saka tut ke bhi saz mera

uzr be-baal-o-pari tha jo qafas tod chuka
dekh ke rah gai munh hasrat-e-parwaz mera

roz ek taza bala aati hai dil ke hathon
'jurm' aamada hai dam lene pe dam-saz mera


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close