nahin manzur tap-e-hijr ka ruswa hona tere bimar ka achchha nahin achchha hona naseha wusat-e-kashana junun-khez nahin warna kya farz hai aawara-e-sahra hona bas ab ai zabt ziyaada mujhe mahjub na kar hai meri aankh ki taqdir mein dariya hona kis se khulte hain teri zulf-e-girah-gir ke bal koi aasan hai ye uqda-e-dil wa hona nigah-e-naz ko aasan dam-e-khanjar banna lab-e-jaan-bakhsh ko dushwar masiha hona hae baaton mein teri laghzish-e-mastana-e-naz hae aankhon mein teri nashsha-e-sahba hona hama-tan dagh-e-gham-e-ishq-e-butan hun 'fani' dil se bhata hai mujhe naqsh-e-suwaida hona