nahin puchhte hum kyon aisa kiya chalo jo kiya tum ne achchha kiya qayamat talak ab chhupe hi raho ye sab tha to kahe ko parda kiya usi ne andhere mein rakkha mujhe usi ne phir aa kar ujala kiya wahi mujh se kahta hai nalish karo wahi jis ne is dil pe qabza kiya usi ne milaya mujhe khak mein wahi hath mal mal ke roya kiya koi baat jhagde ki thi hi nahin main kal be-sabab us se uljha kiya shagufe hain sab us ke chhode hue usi ne ye sara tamasha kiya rahi der tak khud se guft-o-shunud phir aaj us ki yaadon ne tanha kiya