mujhse kya aur ab aaKHir ye hawa chahti hai

mujh se kya aur ab aakhir ye hawa chahti hai
ek diwar thi so wo bhi gira chahti hai

mausam-e-gul mein salamat rahe daman ya-rab
phir koi taza kali dil mein khila chahti hai

teri surat ho samaat mein numayan jis se
khamushi apni wahi rang-e-sada chahti hai

main ki darta hun bahut raat ke sannate se
aur wahshat hai ki ab dar bhi khula chahti hai

jis ki daulat se hum aksar tujhe pa lete the
dil ki chhoti si nishani wo mita chahti hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close