nahin samjhi thi jo samjha rahi hun ab uljhi hun to khulti ja rahi hun bahut gahri hai us ki khamushi bhi main apne qad ko chhota pa rahi hun umand aaya hai shor auron ke ghar se dariche khol ke pachhta rahi hun hujum itna ki chehre bhul jaun bisat-e-zat ko phaila rahi hun ye manzar puchhte hain mujh se aksar kahan se aai hun kyun ja rahi hun agar sach hai to phir sabit karo tum main apne aap ko jhutla rahi hun