hai dil mein junun-khez parastish ka irada aise mein munasib nahin ranjish ka irada jalne ko hai tayyar mata-e-dil-o-jaan phir afsos magar sard hai aatish ka irada mitti ka gharaunda badi mushkil se bana hai ai kash badal de koi barish ka irada yun khul ke sar-e-am na mil mujh se mere dost duniya mein hai zinda abhi sazish ka irada kashkol mohabbat ki talab phir bhadak utthi dekha jo ba-zid us mein nawazish ka irada us ne bada mohtat rawayya rakha phir bhi lahje se jhalakta raha khwahish ka irada us dil ka ilaqa sahi mere liye mamnua badla na ba-har-haal rihaish ka irada hai marka-ara jo 'khayal' aaj ba-zahir rakhta hai pas-e-taish guzarish ka irada