nahin shauq-e-KHaridari mein dauDe ja raha hai

nahin shauq-e-kharidari mein daude ja raha hai
ye gahak sair-e-bazari mein daude ja raha hai

mayassar kuchh nahin hai khel mein la-hasili ke
yunhi be-kar bekari mein daude ja raha hai

uthae phir raha hai kotwal-e-umr chabuk
badan majbur lachaari mein daude ja raha hai

khadi hai manfat hairan bahar daere se
ziyan apni ziyan-kari mein daude ja raha hai

thaharna bhi kahan hai sahal in sayyargan ko
na sabit se hi sayyari mein daude ja raha hai

utara khwahishon ka hai izafi bojh sar se
to aasani se dushwari mein daude ja raha hai

nahin himmat ki jis mein ho zamane ke muqabil
wo apne ghar ki rahdari mein daude ja raha hai

nahin milta magar rauzan ki nikle aks bahar
pas-e-aina-zangari mein daude ja raha hai

sameta jhut ki parkar ne hai pesh-o-pas ko
ki ab har sach riya-kari mein daude ja raha hai

khabar hai rut badalne ki agar rashk-e-saba wo
khiram-andaz gulzari mein daude ja raha hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close