tere hi gham se meri tabiat bahal gai

tere hi gham se meri tabiat bahal gai
tu yaad aa gaya to meri jaan sambhal gai

ab yaad hai kahan mujhe mazi ki dastan
main tujh se kya mili meri duniya badal gai

jo mere gesuon ka giraftar to hua
main bhi to tere ishq ke sanche mein dhal gai

raushan si ho gai hai mere dil ki kaenat
jo teri aarzuon ki ek shama jal gai

daman khayal-e-yar ka dast-e-talab mein hai
gham mein bhi zinda rahne ki surat nikal gai

jab se ye shahr chhod ke koi chala gaya
sach kah rahi hun raunaq-e-sham-e-ghazal gai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close