nahin sunta nahin aata nahin bas mera chalta hai nikal ai jaan tu hi wo nahin ghar se nikalta hai jala hun aatish-e-furqat se main ai shoala-ru yan tak charagh-e-khana mujh ko dekh kar har sham jalta hai nahin ye ashk-o-lakht-e-dil teri ulfat ki daulat se mera ye dida har dam lal aur gauhar ugalta hai kisi ka sath sona yaad aata hai to rota hun mere ashkon ki shiddat se sada gul-takiya galta hai milata hun agar aankhen to wo dil ko churaata hai jo main dil ko talab karta hun wo aankhen badalta hai mere pahlu-o-sina mein buton ke rah gae khanjar khuda ka fazl jis par ho to wo is tarah bahalta hai sada hi meri qismat jun sada-e-halqa-e-dar hai agar main ghar mein jata hun to wo bahar nikalta hai wo bahr-e-husn shayad bagh mein aawega ai 'ehsa۔n' ki fawwara khushi se aaj do do gaz uchhalta hai