saghar utha ke zohd ko rad hum ne kar diya phir zindagi ke jazr ko mad hum ne kar diya waqt apna zar-kharid tha hangam-e-mai-kashi lamhe ko tul de ke abad hum ne kar diya dil pand-e-waizan se hua hai asar-pazir us ko kharab-e-sohbat-e-bad hum ne kar diya tasbih se subu ko badal kar khuda ko aaj baala-tar az-shumar-o-adad hum ne kar diya baada tha ya urus-e-firasat thi jam mein jo kah diya bahak ke sanad hum ne kar diya misron mein gesuon ki fasahat ka bhar ke rang apni har ek ghazal ko sanad hum ne kar diya tashbih de ke qamat-e-jaanan ko sarw se uncha har ek sarw ka qad hum ne kar diya