nahin waswas ji ganwane ke

nahin waswas ji ganwane ke
hae re zauq dil lagane ke

mere taghir-e-haal par mat ja
ittifaqat hain zamane ke

dam-e-akhir hi kya na aana tha
aur bhi waqt the bahane ke

is kudurat ko hum samajhte hain
dhab hain ye khak mein milane ke

bas hain do barg-e-gul qafas mein saba
nahin bhuke hum aab-o-dane ke

marne par baithe hain suno sahab
bande hain apne ji chalane ke

ab gareban kahan ki ai naseh
chadh gaya hath us diwane ke

chashm-e-najam siphar jhapke hai
sadqe us ankhdiyan ladane ke

dil-o-din hosh-o-sabr sab hi gae
aage aage tumhaare aane ke

kab tu sota tha ghar mare aa kar
jage tala gharib-khane ke

mizha-e-abru-nigah se is ki 'mir'
kushta hain apne dil lagane ke

tir-o-talwar-o-sail yakja hain
sare asbab mar jaane ke


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close